Tuesday, October 16, 2007

TheeK

...hai, bilkul! achha lagta hai jab kisi ka pehchan woh naam ho jo bachpan mein aam hua karta tha. Aise log kam they jo mujhe mere asli naam se pukarte. Yeh badappan nahi hoga ke mujhe jinhone padhaaya vey bhi isi tarah se bulaate aur main ho jaata "haan ji!" aadat si ho gayi thi, aur yeh chala dus saal tak. Zindagi aage badhi. naam pukarne ke tareeke bhi kuch aise hee badle. Koi yeh kehta tho koi woh, par jab tak dhang sahi tha sab theek tha.

Phir ek aisa samay aaya jab mera jo asli naam tha, woh kissi dhang se ubhra aur yeh kuch jacha nahi mujhe. Phir bhi kya karta, naam tha wah mera. Sahna padha. Shikayat thodi kar sakta. Par sahi mein jacha nahi.

Aur aisa bhi ek naam aaya jo mera kiya karaya tha. Agar main apne alavaa aur kissi ko doshi maanta tho woh hota saala Paritosh, ek aisa kaalpanik bhooth jisse maine hi paida kiya.

Yeh jo daur hai, yeh sahi hai. Duniya gol hai. Ab log mujhe phir se wahi paarivarik naam se bulaate hain jisse sunne mein koi ajeeb sa achhapan mehsoos karta hoon.

Laghu hai, par sahi hai.

Woh kehte hain na, Life has come a full circle.

Achha lagta hai :)

1 comment:

SSK said...

Agar main apne alavaa aur kissi ko doshi maanta tho woh hota saala Paritosh, ek aisa kaalpanik bhooth jisse maine hi paida kiya.

Serves you right! :P I cannot tell you how much I hated hearing that horrible 'joke'...baah!